May musalmaan hun, may ek pakistani hun,
phir bhi,
har roz mere khoon se fasaanay kyu likhe jatay hain?
har fasaanay ki, ek hi kahani hoti hai,
begunahon ki begunahi unke khilaaf gawahi daiti hai,
kehti hai ye musalmaan hain, ye pakistani hain, haan inhi ko maaro,
haan inhi ko zulm ka nishaana bnao,
akhir yahi to log hain,
jo apni kismat se lataluq hain,
jo apni zindagi se khush hain,
jinko apna mustaqbil nae chahye,
yahi wo log hain,
jinko na chahte huay,
ek paraaie jang ki bhent chharna parta hai,
han hum hi wo log hain
may hi wo hun,
jisay apno se bhi dar hai,
paraaey to phir apne nahin hotay,
jiske jism ko apnon k baarood nay chhalni kiya hai,
jisko har mor pe kaghaz ki tarah jalaaya gaya hai,
jiski har aah ko, insani zibahkhanay ki zeenat bnaya gaya hai,
mai hi hun ye,
ek musalmaan,
ek pakistani,
apnon se chhupa betha,
par kya ye wakaey mere apne hain?
Ye jo roz ek feraun ka kissa raqm karte hain,
jo namrood o chengez se aagay barh jate hain,
kya ye mere apne hain?
Kya ye musalmaan hain?
Kya ye pakistani hain?
Ye tukray mere hi jism k hain,
aur mere hi mulk k tukre hain ye,
jo har dhamakay k baad har simt may bikhray hain,
har saniha, is aag ko barhaata hai,
may sochta hun,
mere jism ki, mere mulk ki behurmati daikh kar,
ye mere bhai, mere hamwatan kaisay khamosh hain?
Kaisay inki dunya may mera koi amal dakhal nae?
Kaisay meri maut sirf ek taza khabar hoti hai,
jispe behas k baad pas e pusht daal dia jata hai,
kaisay mere hukamraan jinki wajah se may marta hun meri maut par syasat chamkaatay hain,
taqreerain karte hain,
nohay gatay hain,
kaise meri maut per likha jata hai,
kaha jata hai,
waaday kiay jaatay hain,
lekin phir b mje pta hota hai,
kal maine phir marna hai,
kal humne hi phir marna hai,
phir jaan daini hai,
kabi apni hi fauj k hathon,
kabi apne aap ko musalmaan kehne walay khudkush hamla awaron k hathon,
ya kabi to muje apne qatil ka b nae ilm hota!
Aye zalimo!
Muje kyu maarte ho?
Humain kyu maarte ho?
Muje to 2 wakt ki roti k ilawa kya chahye?
Muje apne bachon ki khwahishain hi to puri karni hoti hain,
maine to kabi tumaray baray may socha b nae,
mje kyu maartay ho?
Kya maine tumaray zulm pe kabi awaz uthai?
Kya maine kabi tegh-e-qalm se tumaray khilaf kuch likha?
Kya meri kahani itni aham hai k tum isko khatam kar dalo?
Maine to kabi khuda se b tumaray baray may dua nae ki,
maine to apni uljhanon se hi na nikal saka hun,
ye main to nae hun,
jo jaam peetay huay is mulk k faislay karta hai,
mulk na chalay to chor k bhag jata hai,
bhagay to panah b mil jati hai,
mje to panah b kon day ga?
May to yahan se bhag b nae sakta,
meri to dunya hi yahi hai,
meri dunya kyun tabah karte ho?
May ek musalmaan hi hun, may ek pakistani hi hun,
may begunah hun,
may hi ghareeb hun,
to muje hi tum khoon may nehla jatay ho?
Theek hai,
shayad yahi mera kasur hai,
k may kamzor hun,
meri zindagi itni zaail hai k isko haalat pe qurbaan hona parta hai,
maidan-e-jang ko rangna parta hai,
ye hum hi hain,
jinki pukaar be rabt hain,
jinki saansain ukharti hain,
jinka apna koi nae,
Khuda k siwa,
to Khuda pe hi phir chorta hun,
apna faisala,
hashar may main yahi puchun ga,
k main musalmaan tha, may pakistani tha,
phir tumne muje hi apni jang may maqtal-e-jang bna dia,
muje hi?
Han may kahoon ga k aye Khuda ye MAIN HI THA!!!
3 comments:
why no comments on this?
lol i was wondering, i came to the conclusion that probably it was bad so noone commented on it
well i think its too long :P
even if doesnt come to the standards of a good urdu poetry..its the spirit behind it that counts
Post a Comment