Chupke se, khamoshi se,
khizaan ki dupeher ki tarah,
jo shehron ko veeraan kar day,
dil ko ujaarr day,
usi shaam ki tarah,
jis ki tez hava har ek ko urra le jaey,
har dil ko, har rooh ko,
jo chheen le tujh se,
har khushi, har sukh,
usi muqadar k toofan ki tarah,
jis may beh jaey tu bhi,
beh jaon may bhi,
toot jain khwab tere bhi,
toot jain mere bhi.
K zindagi na beet jaey,
isi raat k sehraa ki tarah,
nahin zindagi jis may,
bas daikh aye dost!
zindagi na beet jaey,
chupke se, khamoshi se,
kuch bol,
kuch apne liay, kuch meray liay,
k dunya k gham hain bohat,
chupke se na beetay gi ye zindagi,
gar to chahay bhi,
siskian hongi, cheekhain hongi,
teri bhi, meri bhi.
To sun mere dost!
in siskion ka, khamoshi ka,
na ker tu intezar,
na ker intezar,
dupehar ka, sham ka, raat ka,
k toofaan intezar se nahin ata,
torr day apni majburion ko,
chhor day dunya ki fikar,
k gham to hain unmitt,
aur humne to mitt jana hai,
chhor day udasi,
chhor day khamoshi,
ek baat kahun agar mano tum?
Bas chhor day ab sochna!
4 comments:
wow...sound as if kuch dus bara songs ko jor diya ho!! :P
Very funny. I wrote this back in 2004..4 years man...
Wow means good or ainwaeen?
lol...it can mean wateva u want :P
Post a Comment